Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya ishq tha jo bais-e-ruswai ban gaya

Qateel Shifai

kya ishq tha jo bais-e-ruswai ban gaya

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    kyā ishq thā jo bā.is-e-rusvā.ī ban gayā

    yaaro tamām shahr tamāshā.ī ban gayā

    bin māñge mil ga.e mirī āñkhoñ ko ratjage

    maiñ jab se ek chāñd shaidā.ī ban gayā

    dekhā jo us dast-e-hinā.ī qarīb se

    ehsās gūñjtī huī shahnā.ī ban gayā

    barham huā thā merī kisī baat par koī

    vo hādisa vaj.h-e-shanāsā.ī ban gayā

    paayā na jab kisī meñ bhī āvārgī shauq

    sahrā simaT ke gosha-e-tanhā.ī ban gayā

    thā be-qarār vo mire aane se pesh-tar

    dekhā mujhe to paikar-e-dānā.ī ban gayā

    kartā rahā jo roz mujhe us se bad-gumāñ

    vo shaḳhs bhī ab us tamannā.ī ban gayā

    vo terī bhī to pahlī mohabbat na thī 'qatīl'

    phir kyā huā agar koī harjā.ī ban gayā

    kya ishq tha jo bais-e-ruswai ban gaya

    yaro tamam shahr tamashai ban gaya

    bin mange mil gae meri aankhon ko ratjage

    main jab se ek chand ka shaidai ban gaya

    dekha jo us ka dast-e-hinai qarib se

    ehsas gunjti hui shahnai ban gaya

    barham hua tha meri kisi baat par koi

    wo hadisa hi wajh-e-shanasai ban gaya

    paya na jab kisi mein bhi aawargi ka shauq

    sahra simaT ke gosha-e-tanhai ban gaya

    tha be-qarar wo mere aane se pesh-tar

    dekha mujhe to paikar-e-danai ban gaya

    karta raha jo roz mujhe us se bad-guman

    wo shaKHs bhi ab us ka tamannai ban gaya

    wo teri bhi to pahli mohabbat na thi 'qatil'

    phir kya hua agar koi harjai ban gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now