kya isi taur hi ye sara safar jaana hai
kyā isī taur hī ye saarā safar jaanā hai
kyā kahīñ ruknā nahīñ yuuñ hī guzar jaanā hai
maiñ tire ruuh kā āshiq huuñ magar jāntā huuñ
terā ye shoḳh badan bhī mire sar jaanā hai
dasht kī ḳhaak huuñ maiñ merā kahāñ ḳhud kā safar
tai karegī ye havā mujh ko kidhar jaanā hai
shart ye thī ki na bichhaḌeñge kabhī jiite jī
ye nahīñ thī ki bichhaḌ jaa.eñ to mar jaanā hai
ab rah-e-ishq meñ ham kho bhī agar jaa.eñ to kyā
kis ko is dasht se phir lauT ke ghar jaanā hai
vo tumheñ yaad karā.egā purānī bāteñ
ai dil-e-sāda tumheñ saaf mukar jaanā hai
ye mirā pahlā safar thā so bhaTaknā hī paḌā
kaun ye mujh ko batātā ke kidhar jaanā hai
bas kisī tarah tumheñ paar karā deñ ik baar
phir safīnoñ ko samundar meñ utar jaanā hai
kya isi taur hi ye sara safar jaana hai
kya kahin rukna nahin yun hi guzar jaana hai
main tere ruh ka aashiq hun magar jaanta hun
tera ye shoKH badan bhi mere sar jaana hai
dasht ki KHak hun main mera kahan KHud ka safar
tai karegi ye hawa mujh ko kidhar jaana hai
shart ye thi ki na bichhaDenge kabhi jite ji
ye nahin thi ki bichhaD jaen to mar jaana hai
ab rah-e-ishq mein hum kho bhi agar jaen to kya
kis ko is dasht se phir lauT ke ghar jaana hai
wo tumhein yaad karaega purani baaten
ai dil-e-sada tumhein saf mukar jaana hai
ye mera pahla safar tha so bhaTakna hi paDa
kaun ye mujh ko batata ke kidhar jaana hai
bas kisi tarah tumhein par kara den ek bar
phir safinon ko samundar mein utar jaana hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 42)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.