kya jaane kis KHayal mein kis raste mein hun
kyā jaane kis ḳhayāl meñ kis rāste meñ huuñ
shāyad maiñ tere ba.ad kisī mas.ale meñ huuñ
vo bhī ghirā huā hai zamāne kī bhiiḌ meñ
maiñ bhī isī jahāñ se abhī rābte meñ huuñ
tū muskurā ke aaj mujhe kar rahā hai yaad
ya.anī maiñ tere saath tire aa.ine meñ huuñ
sahrā meñ tez dhuup kā ehsās hī nahīñ
baaqī hai ek peḌ abhī āsare meñ huuñ
kaise kisī furāt se ho dostī mirī
maiñ tishna-lab husain tire qāfile meñ huuñ
kya jaane kis KHayal mein kis raste mein hun
shayad main tere baad kisi masale mein hun
wo bhi ghira hua hai zamane ki bhiD mein
main bhi isi jahan se abhi rabte mein hun
tu muskura ke aaj mujhe kar raha hai yaad
yani main tere sath tere aaine mein hun
sahra mein tez dhup ka ehsas hi nahin
baqi hai ek peD abhi aasare mein hun
kaise kisi furaat se ho dosti meri
main tishna-lab husain tere qafile mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.