kya jaane kis liye wo itna badal raha hai
kyā jaane kis liye vo itnā badal rahā hai
phūloñ kā jism lekin kāñToñ pe chal rahā hai
gar ho tirā ishāra sairāb ho ye sahrā
palkoñ pe ek aañsū kab se machal rahā hai
kyā pyaas kī thī shiddat dekhā hai sab ne ab tak
taptī huī zamīñ se chashma ubal rahā hai
ḳhud ko bachā.eñ kyā ab us kī kareñ hifāzat
bastī sulag rahī hai jañgal bhī jal rahā hai
chehra vo aañkh meñ hai dil kā qarār 'fārūq'
paanī meñ chāñd utrā bachcha bahal rahā hai
kya jaane kis liye wo itna badal raha hai
phulon ka jism lekin kanTon pe chal raha hai
gar ho tera ishaara sairab ho ye sahra
palkon pe ek aansu kab se machal raha hai
kya pyas ki thi shiddat dekha hai sab ne ab tak
tapti hui zamin se chashma ubal raha hai
KHud ko bachaen kya ab us ki karen hifazat
basti sulag rahi hai jangal bhi jal raha hai
chehra wo aankh mein hai dil ka qarar 'faruq'
pani mein chand utra bachcha bahal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.