Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya jaane kya tumne socha kuchh to aaKHir socha hoga

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

kya jaane kya tumne socha kuchh to aaKHir socha hoga

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    kyā jaane kyā tum ne sochā kuchh to āḳhir sochā hogā

    ham ne to ye soch liyā hai jo bhī hogā achchhā hogā

    āvāra phirtā thā jo ek jagah kab Thahrā hogā

    kyā jaane kis āñgan meñ vo abr TukḌā barsā hogā

    ho ke ḳhafā pahle to us ne rasm-e-vafā ko toḌā hogā

    dil ke hāthoñ bebas ho kar phir mujh ko ḳhat likkhā hogā

    apne chhoTe se kamre meñ khoyā khoyā tanhā tanhā

    yaad kisī aatī hogī chupke chupke rotā hogā

    aa.ina dil TukḌe TukḌe aks-e-tamannā bikhre bikhre

    āḳhir aisā kaun aayā thā jis ne patthar pheñkā hogā

    jis ne sab pyaas bujhā.ī pyaas na us samjhā koī

    vo to ik aisā dariyā thā sadiyoñ se jo pyāsā hogā

    bām-o-dar haiñ mahke mahke chāroñ taraf ḳhushbū ke Dere

    shāyad aayā hogā 'nazar' vo ghar yūñhī kab mahkā hogā

    kya jaane kya tum ne socha kuchh to aaKHir socha hoga

    hum ne to ye soch liya hai jo bhi hoga achchha hoga

    aawara sa phirta tha jo ek jagah kab Thahra hoga

    kya jaane kis aangan mein wo abr ka TukDa barsa hoga

    ho ke KHafa pahle to us ne rasm-e-wafa ko toDa hoga

    dil ke hathon bebas ho kar phir mujh ko KHat likkha hoga

    apne chhoTe se kamre mein khoya khoya tanha tanha

    yaad kisi ki aati hogi chupke chupke rota hoga

    aaina dil ka TukDe TukDe aks-e-tamanna bikhre bikhre

    aaKHir aisa kaun aaya tha jis ne patthar phenka hoga

    jis ne sab ki pyas bujhai pyas na us ki samjha koi

    wo to ek aisa dariya tha sadiyon se jo pyasa hoga

    baam-o-dar hain mahke mahke chaaron taraf KHushbu ke Dere

    shayad aaya hoga 'nazar' wo ghar yunhi kab mahka hoga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now