kya jaane wo achchha ki bura karte rahe hain
kyā jaane vo achchhā ki burā karte rahe haiñ
jo mere liye roz duā karte rahe haiñ
baḳhshī hai jihālat ne unheñ rāhnumā.ī
jo log yahāñ jurm-o-ḳhatā karte rahe haiñ
hoñToñ pe mere rahtī hai tārīf bas un kī
vo haiñ ki sadā shikva gila karte rahe haiñ
ik roz sila is kā milegā unheñ yaaro
izzat jo buzurgoñ kī sadā karte rahe haiñ
sūraj ko ye andāza 'sabā' ho nahīñ saktā
ham sham.a ke mānind ziyā karte rahe haiñ
kya jaane wo achchha ki bura karte rahe hain
jo mere liye roz dua karte rahe hain
baKHshi hai jihaalat ne unhen rahnumai
jo log yahan jurm-o-KHata karte rahe hain
honTon pe mere rahti hai tarif bas un ki
wo hain ki sada shikwa gila karte rahe hain
ek roz sila is ka milega unhen yaro
izzat jo buzurgon ki sada karte rahe hain
suraj ko ye andaza 'saba' ho nahin sakta
hum shama ke manind ziya karte rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.