kya jaaniye us nam mein kya bhed bhara tha
kyā jāniye us naam meñ kyā bhed bharā thā
sunte hī jise raat koī chauñk paḌā thā
us shor ko sun sun ke ye dil kaañp gayā thā
jaise koī merī hī tarah chīḳh rahā thā
us ko bas udhar ek hī dhun thī aur idhar maiñ
bigḌī huī ik baat banāne meñ lagā thā
hairānī yahī thī ki chamak kaisī hai dil meñ
phir aaj jo ik zaḳhm ko dekhā to harā thā
kal girya-e-paiham ne mirī jaan bachā.ī
maiñ zabt kī dīvār ke malbe meñ dabā thā
vo sard samā.at meñ mujhe DhūñD rahī thī
maiñ sho.ala-e-iz.hār ke bātin meñ chhupā thā
kya jaaniye us nam mein kya bhed bhara tha
sunte hi jise raat koi chaunk paDa tha
us shor ko sun sun ke ye dil kanp gaya tha
jaise koi meri hi tarah chiKH raha tha
us ko bas udhar ek hi dhun thi aur idhar main
bigDi hui ek baat banane mein laga tha
hairani yahi thi ki chamak kaisi hai dil mein
phir aaj jo ek zaKHm ko dekha to hara tha
kal girya-e-paiham ne meri jaan bachai
main zabt ki diwar ke malbe mein daba tha
wo sard samaat mein mujhe DhunD rahi thi
main shoala-e-izhaar ke baatin mein chhupa tha
- Book : غبار حیرانی (Pg. 61)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.