kya jaanun kyon baiThe baiThe dil aisa bhar aae hai
kya jaanun kyon baiThe baiThe dil aisa bhar aae hai
Mohammad Ahsan Wahidi
MORE BYMohammad Ahsan Wahidi
kyā jānūñ kyoñ baiThe baiThe dil aisā bhar aa.e hai
sūkhā sāgar in āñkhoñ kā paanī se bhar jaa.e hai
bhuul chukā huuñ tujh ko lekin yaad tirī aa jaa.e hai
huuk uThe hai dil meñ aisī tiir jigar se jaa.e hai
rut bhīgī ākāsh gulābī narm havā barkhā kī sāñjh
bol ke mīThe bol koyaliyā man merā taḌpā.e hai
priit hai sach-much choT jigar kī or bahut hī gahrī choT
saañs banī hai aarā dil kā aañsū aag lagā.e hai
chun chun kaliyāñ rang churā kar sej banī armānoñ kī
haa.e magar vo din na aa.e phuul sā dil murjhā.e hai
yaas nagar meñ kyūñkar bahle aas bharā ye man merā
jab bhī chamkīñ aas kī kirneñ yaas kā bādal chhā.e hai
luuT lī jag ne hoñT kī maaya rāg-o-rang bhī chhīn liyā
chāñd hañse yā taare chamkeñ kuchh na dil ko bhaa.e hai
kya jaanun kyon baiThe baiThe dil aisa bhar aae hai
sukha sagar in aankhon ka pani se bhar jae hai
bhul chuka hun tujh ko lekin yaad teri aa jae hai
huk uThe hai dil mein aisi tir jigar se jae hai
rut bhigi aakash gulabi narm hawa barkha ki sanjh
bol ke miThe bol koyaliya man mera taDpae hai
prit hai sach-much choT jigar ki or bahut hi gahri choT
sans bani hai aara dil ka aansu aag lagae hai
chun chun kaliyan rang chura kar sej bani armanon ki
hae magar wo din na aae phul sa dil murjhae hai
yas nagar mein kyunkar bahle aas bhara ye man mera
jab bhi chamkin aas ki kirnen yas ka baadal chhae hai
luT li jag ne honT ki maya rag-o-rang bhi chhin liya
chand hanse ya tare chamken kuchh na dil ko bhae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.