kya jiyega koi hum KHak-nashinon ki tarah
kya jiyega koi hum KHak-nashinon ki tarah
Kaleem Noori Firozabadi
MORE BYKaleem Noori Firozabadi
kyā jiyegā koī ham ḳhāk-nashīnoñ kī tarah
ek ik pal yahāñ guzrā hai mahīnoñ kī tarah
us ne chaḌh kar mire kāñdhoñ pe falak chuum liyā
maiñ zamīñ par hī khaḌā rah gayā zīnoñ kī tarah
daur-e-hāzir meñ mohabbat kā koī mol nahīñ
dil bhī hone lage nīlām zamīnoñ kī tarah
ḳhud nahīñ chaltā koī aur chalātā hai use
ab to insān bhī tultā hai mashīnoñ kī tarah
jab se aayā hai fasādāt ke mausam meñ ubaal
ham bhī maujoñ meñ ghire TuuTe safīnoñ kī tarah
maiñ ne duniyā kī nigāhoñ se bachā kar ai 'kalīm'
dil meñ rakkhā tirī yādoñ ko dafīnoñ kī tarah
kya jiyega koi hum KHak-nashinon ki tarah
ek ek pal yahan guzra hai mahinon ki tarah
us ne chaDh kar mere kandhon pe falak chum liya
main zamin par hi khaDa rah gaya zinon ki tarah
daur-e-hazir mein mohabbat ka koi mol nahin
dil bhi hone lage nilam zaminon ki tarah
KHud nahin chalta koi aur chalata hai use
ab to insan bhi tulta hai mashinon ki tarah
jab se aaya hai fasadat ke mausam mein ubaal
hum bhi maujon mein ghire TuTe safinon ki tarah
main ne duniya ki nigahon se bacha kar ai 'kalim'
dil mein rakkha teri yaadon ko dafinon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.