kya jurm hamara hai bata kyon nahin dete
kyā jurm hamārā hai batā kyoñ nahīñ dete
is aapsī jhagḌe ko miTā kyoñ nahīñ dete
paimāne meñ kuchh zahr milā kyoñ nahīñ dete
bezār haiñ ham se to pilā kyoñ nahīñ dete
nafrat bhare andāz meñ kyoñ yaad hamārī
ham itne bure haiñ to bhulā kyoñ nahīñ dete
itnā hī khaTaktā hai to kyā soch rahe ho
ye merā nasheman hai jalā kyoñ nahīñ dete
fitnoñ ko ubharte hue kyoñ dekh rahe ho
in aag ke sho.aloñ ko bujhā kyoñ nahīñ dete
do-chār to mahfil meñ taraf-dār mileñge
ai 'rāz' kharī baat sunā kyoñ nahīñ dete
kya jurm hamara hai bata kyon nahin dete
is aapsi jhagDe ko miTa kyon nahin dete
paimane mein kuchh zahr mila kyon nahin dete
bezar hain hum se to pila kyon nahin dete
nafrat bhare andaz mein kyon yaad hamari
hum itne bure hain to bhula kyon nahin dete
itna hi khaTakta hai to kya soch rahe ho
ye mera nasheman hai jala kyon nahin dete
fitnon ko ubharte hue kyon dekh rahe ho
in aag ke shoalon ko bujha kyon nahin dete
do-chaar to mahfil mein taraf-dar milenge
ai 'raaz' khari baat suna kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.