kya kasa-e-mai lijiye us bazm mein ai ham-nashin
kyā kāsa-e-mai lījiye us bazm meñ ai ham-nashīñ
daur-e-falak se kyā ḳhabar pahuñchegā lab tak yā nahīñ
ye kāsa-e-fīroz-gūñ hai shīsha-bāz-e-pur-funūñ
jitne hiyal haiñ aur fusūñ sab is ke haiñ zer-e-nagīñ
ho e'timād us kā kise hai shīsha-bāzī yaad use
rakhtā hai shaad ik dam jise kartā hai phir andoh-gīñ
kal dāman-e-sahrā meñ ham guzre jo vaqt-e-sub.h-dam
ik kāsa-e-sar pur-alam aayā nazar apne vahīñ
bolā ba-fariyād-o-fuġhāñ kyā dekhtā hai o miyāñ
the ham bhī sar-bar āsmāñ go ab to haiñ zer-e-zamīñ
gul-barg se nāzuk badan sar paañv se rashk-e-chaman
zarrīñ-o-sīmīñ pairahan dilkash makānoñ ke makīñ
din-rāt nāz-o-ne.amateñ mah-tal.atoñ kī sohbateñ
aish-o-nashāt-o-ishrateñ saaqī qirāñ mutrib qarīñ
bāġh-o-chaman pesh-e-nazar bazm-e-tarab shām-o-sahar
har sū ba-kasrat jalva-gar husn-e-butān-e-nāznīñ
ek āsmāñ ke daur se ik gardish-e-fil-faur se
ab sochiyegā ġhaur se dar lahza aañ dar lahza iiñ
sunte hī jī tharrā gayā ruḳhsār par ashk aa gayā
dil ibratoñ se chhā gayā ḳhātir huī bas sahmgīñ
is meñ sar apnā nā-gahāñ har mū huā misl-e-zabāñ
bolā 'nazīr' aagah ho haañ man niiz roze ham-chunīñ
kya kasa-e-mai lijiye us bazm mein ai ham-nashin
daur-e-falak se kya KHabar pahunchega lab tak ya nahin
ye kasa-e-firoz-gun hai shisha-baz-e-pur-funun
jitne hiyal hain aur fusun sab is ke hain zer-e-nagin
ho e'timad us ka kise hai shisha-bazi yaad use
rakhta hai shad ek dam jise karta hai phir andoh-gin
kal daman-e-sahra mein hum guzre jo waqt-e-subh-dam
ek kasa-e-sar pur-alam aaya nazar apne wahin
bola ba-fariyaad-o-fughan kya dekhta hai o miyan
the hum bhi sar-bar aasman go ab to hain zer-e-zamin
gul-barg se nazuk badan sar panw se rashk-e-chaman
zarrin-o-simin pairahan dilkash makanon ke makin
din-raat naz-o-neamaten mah-talaton ki sohbaten
aish-o-nashat-o-ishraten saqi qiran mutrib qarin
bagh-o-chaman pesh-e-nazar bazm-e-tarab sham-o-sahar
har su ba-kasrat jalwa-gar husn-e-butan-e-naznin
ek aasman ke daur se ek gardish-e-fil-faur se
ab sochiyega ghaur se dar lahza aan dar lahza in
sunte hi ji tharra gaya ruKHsar par ashk aa gaya
dil ibraton se chha gaya KHatir hui bas sahmgin
is mein sar apna na-gahan har mu hua misl-e-zaban
bola 'nazir' aagah ho han man niz roze ham-chunin
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.