kya kabhi un se baat ki hai
kyā kabhī un se baat kī hai
jī baḌī ehtiyāt kī hai
tum kabhī din ko mat sunānā
vo kahānī jo raat kī hai
zindagī ne savāl pūchhā
koī sūrat najāt kī hai
Dhal gayā hai shabāb us kā
varna vo mere saath kī hai
tū samajhtā hai sirf tū ne
sirf tū ne hayāt kī hai
kya kabhi un se baat ki hai
ji baDi ehtiyat ki hai
tum kabhi din ko mat sunana
wo kahani jo raat ki hai
zindagi ne sawal puchha
koi surat najat ki hai
Dhal gaya hai shabab us ka
warna wo mere sath ki hai
tu samajhta hai sirf tu ne
sirf tu ne hayat ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.