kya kahen aalam-e-shabab ki baat
kyā kaheñ ālam-e-shabāb kī baat
mo'atabar hotī kab hai ḳhvāb kī baat
jhaḌ ga.ī sheḳhī abr kī jis dam
chal paḌī dīda-e-pur-āb kī baat
diije dam us ko hazrat-e-nāseh
jāntā jo na ho janāb kī baat
hai ye aur aah us kā kūcha hai
kyā kahūñ is dil-e-ḳharāb kī baat
laakh parda kiyā magar na chhupī
aah majnūn-e-dil-kabāb kī baat
rañg hai zard muñh pe ḳhushkī hai
muñh se nikle hai pech-o-tāb kī baat
aaj kuchh be-qarār se ho tum
kahīñ chhuptī hai iztirāb kī baat
chal paḌī bazm-e-mai-kashāñ meñ jab
nigah-e-chashm-e-mast-ḳhvāb kī baat
ho ga.e bas nashe haran sab ke
na rahī ḳhaak kuchh sharāb kī baat
sach kaho kis se dil lagā hai 'aish'
nahīñ yāroñ se ye hijāb kī baat
kya kahen aalam-e-shabab ki baat
mo'atabar hoti kab hai KHwab ki baat
jhaD gai sheKHi abr ki jis dam
chal paDi dida-e-pur-ab ki baat
dije dam us ko hazrat-e-naseh
jaanta jo na ho janab ki baat
hai ye aur aah us ka kucha hai
kya kahun is dil-e-KHarab ki baat
lakh parda kiya magar na chhupi
aah majnun-e-dil-kabab ki baat
rang hai zard munh pe KHushki hai
munh se nikle hai pech-o-tab ki baat
aaj kuchh be-qarar se ho tum
kahin chhupti hai iztirab ki baat
chal paDi bazm-e-mai-kashan mein jab
nigah-e-chashm-e-mast-KHwab ki baat
ho gae bas nashe haran sab ke
na rahi KHak kuchh sharab ki baat
sach kaho kis se dil laga hai 'aish'
nahin yaron se ye hijab ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.