kya kahen kaise basar hijr ki raaten ki hain
kyā kaheñ kaise basar hijr kī rāteñ kī haiñ
'umr bhar chāñd se ik shaḳhs kī bāteñ kī haiñ
kab azānoñ se na ma'amūr thā ka.aba dil kā
kab faqīroñ ne qazā ishq-salāteñ kī haiñ
terī ḳhushbū se koī ḳhat na havā par likhā
ḳhushk kis dhuup ne phūloñ kī davāteñ kī haiñ
haar to khel kā hissa thī magar farq ye hai
maat se pahle hī tah ham ne bisāteñ kī haiñ
lauT jaate haiñ ye Takrā ke sar-e-sāhil se
muztarib zehnoñ ne kab paar furāteñ kī haiñ
Dolī uTThī na tahī-chashm sitāroñ kī 'najīb'
sub.h-e-namnāk ne ruḳhsat ye barāteñ kī haiñ
kya kahen kaise basar hijr ki raaten ki hain
'umr bhar chand se ek shaKHs ki baaten ki hain
kab azanon se na ma'amur tha kaba dil ka
kab faqiron ne qaza ishq-salaten ki hain
teri KHushbu se koi KHat na hawa par likha
KHushk kis dhup ne phulon ki dawaten ki hain
haar to khel ka hissa thi magar farq ye hai
mat se pahle hi tah hum ne bisaten ki hain
lauT jate hain ye Takra ke sar-e-sahil se
muztarib zehnon ne kab par furaaten ki hain
Doli uTThi na tahi-chashm sitaron ki 'najib'
subh-e-namnak ne ruKHsat ye baraaten ki hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.