kya kahen kis se kahen ranjish-o-afat ka gham
kyā kaheñ kis se kaheñ ranjish-o-āfāt kā ġham
ab sahā jaatā nahīñ gardish-e-hālāt kā ġham
har ghaḌī sho.ale baraste the badan par mere
kaise maiñ bhūltā guzre hue lamhāt kā ġham
ḳhvāb bhī TuuT ga.e dil bhī mirā TuuT gayā
umr bhar mujh ko rahā un se mulāqāt kā ġham
maiñ ḳhushī pahlī sī ai dost kahāñ se lā.ūñ
ab to har vaqt mire pīchhe hai ḳhadshāt kā ġham
aaj bhī zinda huuñ maiñ ban ke ujāloñ kā safīr
apnī āñkhoñ meñ samo.e hue zulmāt kā ġham
thak ga.ī merī zabāñ karke duā bhī 'saifī'
kam huā phir bhī kahāñ arz-o-samāvāt kā ġham
kya kahen kis se kahen ranjish-o-afat ka gham
ab saha jata nahin gardish-e-haalat ka gham
har ghaDi shoale baraste the badan par mere
kaise main bhulta guzre hue lamhat ka gham
KHwab bhi TuT gae dil bhi mera TuT gaya
umr bhar mujh ko raha un se mulaqat ka gham
main KHushi pahli si ai dost kahan se laun
ab to har waqt mere pichhe hai KHadshat ka gham
aaj bhi zinda hun main ban ke ujalon ka safir
apni aankhon mein samoe hue zulmat ka gham
thak gai meri zaban karke dua bhi 'saifi'
kam hua phir bhi kahan arz-o-samawat ka gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.