kya kahen kis se pyar kar baiThe
kyā kaheñ kis se pyaar kar baiThe
apne dil ko figār kar baiThe
sabr kī ik qabā jo baaqī thī
us ko bhī taar taar kar baiThe
aaj phir un kī aamad aamad hai
ham ḳhizāñ ko bahār kar baiThe
vaa.e us but kā va.ada-e-fardā
umr bhar intizār kar baiThe
ḳhud jo ġham haiñ to aa.ina hairāñ
kis ġhazab kā siñghār kar baiThe
ham tahī-dast tujh ko kyā dete
jaan tujh par nisār kar baiThe
kya kahen kis se pyar kar baiThe
apne dil ko figar kar baiThe
sabr ki ek qaba jo baqi thi
us ko bhi tar tar kar baiThe
aaj phir un ki aamad aamad hai
hum KHizan ko bahaar kar baiThe
wae us but ka wada-e-farda
umr bhar intizar kar baiThe
KHud jo gham hain to aaina hairan
kis ghazab ka singhaar kar baiThe
hum tahi-dast tujh ko kya dete
jaan tujh par nisar kar baiThe
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 119)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.