kya kahen tum se bud-o-bash apni
kyā kaheñ tum se būd-o-bāsh apnī
kaam hī kyā vahī talāsh apnī
koī dam aisī zindagī bhī kareñ
apnā siina ho aur ḳharāsh apnī
apne hī tesha-e-nadāmat se
zaat hai ab to paash paash apnī
hai laboñ par nafas-zanī kī dukāñ
yāva-goī hai bas ma.āsh apnī
terī sūrat pe huuñ nisār pa ab
aur sūrat koī tarāsh apnī
jism o jaañ ko to bech hī Daalā
ab mujhe bechnī hai laash apnī
kya kahen tum se bud-o-bash apni
kaam hi kya wahi talash apni
koi dam aisi zindagi bhi karen
apna sina ho aur KHarash apni
apne hi tesha-e-nadamat se
zat hai ab to pash pash apni
hai labon par nafas-zani ki dukan
yawa-goi hai bas maash apni
teri surat pe hun nisar pa ab
aur surat koi tarash apni
jism o jaan ko to bech hi Dala
ab mujhe bechni hai lash apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.