kya kahen zindagi ka kya kije
kyā kaheñ zindagī kā kyā kiije
ik lab-e-dam ḳhushī kā kyā kiije
jaan dīvār hī se bachtī hai
varna shorīdgī kā kyā kiije
duur kyā paas tere rah kar bhī
kis se kahiye kamī kā kyā kiije
hosh āḳhir ko aa hī jaanā thā
lekin ab be-ḳhudī kā kyā kiije
kis qadar ḳhud ko dījiye dhokā
is qadar be-hisī kā kyā kiije
kya kahen zindagi ka kya kije
ek lab-e-dam KHushi ka kya kije
jaan diwar hi se bachti hai
warna shoridgi ka kya kije
dur kya pas tere rah kar bhi
kis se kahiye kami ka kya kije
hosh aaKHir ko aa hi jaana tha
lekin ab be-KHudi ka kya kije
kis qadar KHud ko dijiye dhoka
is qadar be-hisi ka kya kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.