kya kahiye kaTi hijr ki kyunkar tamam raat
kya kahiye kaTi hijr ki kyunkar tamam raat
Sayyad Ameer Hasan Badr
MORE BYSayyad Ameer Hasan Badr
kyā kahiye kaaTī hijr kī kyūñkar tamām raat
āh-e-jigar-gudāz thī lab par tamām raat
aaya na karke va.ada jo dilbar tamām raat
betāb dil thā jaan thī muztar tamām raat
vo mahv-e-ḳhvāb-e-nāz jo bālā-e-bām the
niklā na sharm se mah-e-anvar tamām raat
ārā.ishoñ kā shauq yahī hai to aa chuke
bantī rahegī zulf-e-mo.ambar tamām raat
sone diyā na us but-e-ġhaflat-shi.ār ko
afsāna dard-e-dil kā sunā kar tamām raat
bedāriyāñ na pūchhiye ham ḳhufta-baḳht kī
kaaTī hai yūñhī jaag ke aksar tamām raat
Thankā na un kā māthā na chauñke vo niiñd se
dar par paTaktā rah gayā maiñ sar tamām raat
āñkhoñ meñ maiñ ne sub.h shab-e-intizār kī
gintā rahā huuñ baiTh ke aḳhtar tamām raat
mizhgāñ kī yaad thī jo shab-e-hijr-e-yār meñ
chubhtā rahā hai siine meñ nashtar tamām raat
betāb kar rahī haiñ tirī be-qarāriyāñ
taḌpā karegā kyā dil-e-muztar tamām raat
allah re zo.af uf rī ġhashī hijr-e-yār meñ
murda sā thā paḌā sar-e-bistar tamām raat
gesū kī yaad aur shab-e-tār hijr kī
kaalī balā savār thī sar par tamām raat
surma lagā rahā hai fusūñ-sāz aañkh meñ
jaadū jagā.egā vo fusūñ-gar tamām raat
bhar diiñ haiñ hijr-e-yār ne rag-rag meñ bijliyāñ
taḌpūñ na shakl-e-barq maiñ kyūñkar tamām raat
thī yaad meñ jo sāqī-e-kausar kī chashm-e-mast
piitā rahā huuñ bāda-e-at.har tamām raat
sajda maiñ shukr kā karūñ ai 'badr' vaqt-e-sub.h
daulat jo vasl kī ho mayassar tamām raat
kya kahiye kaTi hijr ki kyunkar tamam raat
aah-e-jigar-gudaz thi lab par tamam raat
aaya na karke wada jo dilbar tamam raat
betab dil tha jaan thi muztar tamam raat
wo mahw-e-KHwab-e-naz jo baala-e-baam the
nikla na sharm se mah-e-anwar tamam raat
aaraishon ka shauq yahi hai to aa chuke
banti rahegi zulf-e-moambar tamam raat
sone diya na us but-e-ghaflat-shiar ko
afsana dard-e-dil ka suna kar tamam raat
bedariyan na puchhiye hum KHufta-baKHt ki
kaTi hai yunhi jag ke aksar tamam raat
Thanka na un ka matha na chaunke wo nind se
dar par paTakta rah gaya main sar tamam raat
aankhon mein main ne subh shab-e-intizar ki
ginta raha hun baiTh ke aKHtar tamam raat
mizhgan ki yaad thi jo shab-e-hijr-e-yar mein
chubhta raha hai sine mein nashtar tamam raat
betab kar rahi hain teri be-qarariyan
taDpa karega kya dil-e-muztar tamam raat
allah re zoaf uf ri ghashi hijr-e-yar mein
murda sa tha paDa sar-e-bistar tamam raat
gesu ki yaad aur shab-e-tar hijr ki
kali bala sawar thi sar par tamam raat
surma laga raha hai fusun-saz aankh mein
jadu jagaega wo fusun-gar tamam raat
bhar din hain hijr-e-yar ne rag-rag mein bijliyan
taDpun na shakl-e-barq main kyunkar tamam raat
thi yaad mein jo saqi-e-kausar ki chashm-e-mast
pita raha hun baada-e-athar tamam raat
sajda main shukr ka karun ai 'badr' waqt-e-subh
daulat jo wasl ki ho mayassar tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.