kya kahiye ki bedad hai teri bedad
kyā kahiye ki bedād hai terī bedād
tūfān-e-mohabbat kī hai zad meñ fariyād
dil mahshar-e-be-ḳhudī hai allāh allāh
yaad aur kisī bhuul jaane vaale kī yaad
pābandi-e-rasm-e-bar-tarf kyuuñ ai maut
un ke bhī kiye haiñ tū ne qaidī āzād
allāh ye bijliyāñ na kaam ā.eñgī
āñdhī hī se kyuuñ ho āshiyāna barbād
duniyā jise kahtā hai zamāna 'fānī'
hai ek tilism ijtimā azdād
kya kahiye ki bedad hai teri bedad
tufan-e-mohabbat ki hai zad mein fariyaad
dil mahshar-e-be-KHudi hai allah allah
yaad aur kisi bhul jaane wale ki yaad
pabandi-e-rasm-e-bar-tarf kyun ai maut
un ke bhi kiye hain tu ne qaidi aazad
allah ye bijliyan na kaam aaengi
aandhi hi se kyun ho aashiyana barbaad
duniya jise kahta hai zamana 'fani'
hai ek tilism ijtima azdad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.