kya kahiye rah-e-shauq ko kis tarah sar kiya
kyā kahiye rāh-e-shauq ko kis tarah sar kiyā
ham ne safar fazāoñ meñ be-bāl-o-par kiyā
zulf us kī ho rahī thī pareshāñ havāoñ meñ
ham ye samajh rahe the duā ne asar kiyā
pūchho na kis tarah se guzārī hai zindagī
maddham se ik diye ne havā meñ safar kiyā
'fāḳhir' guzar rahe haiñ ham is daur se yahāñ
jis ne mohabbatoñ ko bhī marhūn-e-zar kiyā
kya kahiye rah-e-shauq ko kis tarah sar kiya
hum ne safar fazaon mein be-baal-o-par kiya
zulf us ki ho rahi thi pareshan hawaon mein
hum ye samajh rahe the dua ne asar kiya
puchho na kis tarah se guzari hai zindagi
maddham se ek diye ne hawa mein safar kiya
'faKHir' guzar rahe hain hum is daur se yahan
jis ne mohabbaton ko bhi marhun-e-zar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.