kya kahun KHamosh dariya se main pani ke liye
kyā kahūñ ḳhāmosh dariyā se maiñ paanī ke liye
mauj hī raazī nahīñ koī ravānī ke liye
lag ga.e rang-e-hunar sab ek hī tasvīr meñ
phir koī sūrat na niklī naqsh-e-sānī ke liye
sochtā huuñ maiñ bhī dekhūñ dil ke ā.īne meñ ab
kitnī gunjā.ish hai aks-e-kāmrānī ke liye
koī gar pūchhe to kyā batlā.īye jaate hue
ham ne to kuchh bhī nahīñ chhoḌā nishānī ke liye
sāmne us sho.ala-rū ke jal sake kis kā charāġh
chāñd sūraj bhī haiñ jis kī pāsbānī ke liye
kya kahun KHamosh dariya se main pani ke liye
mauj hi raazi nahin koi rawani ke liye
lag gae rang-e-hunar sab ek hi taswir mein
phir koi surat na nikli naqsh-e-sani ke liye
sochta hun main bhi dekhun dil ke aaine mein ab
kitni gunjaish hai aks-e-kaamrani ke liye
koi gar puchhe to kya batlaiye jate hue
hum ne to kuchh bhi nahin chhoDa nishani ke liye
samne us shoala-ru ke jal sake kis ka charagh
chand suraj bhi hain jis ki pasbani ke liye
- Book : غبار حیرانی (Pg. 47)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.