kya kahun kis se kahun kahne ka kuchh hasil nahin
kya kahun kis se kahun kahne ka kuchh hasil nahin
Anwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
MORE BYAnwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
kyā kahūñ kis se kahūñ kahne kā kuchh hāsil nahīñ
jab se dekhā hai unheñ qaabū meñ merā dil nahīñ
lutf kyā piine kā aa.egā bhalā ai mai-kasho
mai to hai maujūd lekin sāqi-e-mahfil nahīñ
tere aane se vo kyā mahfūz ho ai fasl-e-gul
jis ko duniyā meñ mayassar hī sukūn-e-dil nahīñ
merī gardan par chhurī ye kah kar us ne pher dī
mujrim-e-ulfat kabhī bhī rahm ke qābil nahīñ
maiñ ne kis kis se nahīñ pūchhā patā terā ai dost
umr bhar DhūñDā magar mujh ko milī manzil nahīñ
hūr-e-jannat kī tamanna dil meñ rakhte haiñ magar
shaiḳh jī kā qaul hai ulfat kā maiñ qaa.il nahīñ
jitnā tum chāho karo zulm-o-sitam mujh par magar
munharif ho jaa.e tum se aisā merā dil nahīñ
mujh ko bhī sāġhar mile ai sāqī-e-rangīn-adā
mujh pe bhī chashm-e-karam ho kyā maiñ is qābil nahīñ
bhūlne vaale faqat itnā batānā hai tujhe
terā 'ahmar' yaad se terī kabhī ġhāfil nahīñ
kya kahun kis se kahun kahne ka kuchh hasil nahin
jab se dekha hai unhen qabu mein mera dil nahin
lutf kya pine ka aaega bhala ai mai-kasho
mai to hai maujud lekin saqi-e-mahfil nahin
tere aane se wo kya mahfuz ho ai fasl-e-gul
jis ko duniya mein mayassar hi sukun-e-dil nahin
meri gardan par chhuri ye kah kar us ne pher di
mujrim-e-ulfat kabhi bhi rahm ke qabil nahin
main ne kis kis se nahin puchha pata tera ai dost
umr bhar DhunDa magar mujh ko mili manzil nahin
hur-e-jannat ki tamanna dil mein rakhte hain magar
shaiKH ji ka qaul hai ulfat ka main qail nahin
jitna tum chaho karo zulm-o-sitam mujh par magar
munharif ho jae tum se aisa mera dil nahin
mujh ko bhi saghar mile ai saqi-e-rangin-ada
mujh pe bhi chashm-e-karam ho kya main is qabil nahin
bhulne wale faqat itna batana hai tujhe
tera 'ahmar' yaad se teri kabhi ghafil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.