kya kahun mujh pe jo ai dushman-e-jaan guzri hai
kyā kahūñ mujh pe jo ai dushman-e-jāñ guzrī hai
tirī har baat tabī.at pe girāñ guzrī hai
kuchh na samjhegā tū betābī-e-dil kā aalam
ye musībat kī ghaḌī tujh pe kahāñ guzrī hai
naunihālān-e-chaman bhī ḳhas-o-ḳhāshāk hue
ḳhaak uḌātī huī yuuñ bād-e-ḳhizāñ guzrī hai
zindagī naġhma-e-be-sāz-o-navā thī pahle
aaj tak ḳhair se ai dard-e-nihāñ guzrī hai
jāda-e-shauq meñ ye bhī mujhe ma.alūm nahīñ
din kahāñ biit gayā raat kahāñ guzrī hai
ziist vo kyā hai jo mauhūm sī ummīd liye
maut kī raah se benām-o-nishāñ guzrī hai
dekhiye rañg jamātī hai bahār ab kyoñ kar
luuT kar husn-e-gulistāñ ko ḳhizāñ guzrī hai
jur.at-e-arz-e-tamannā mujhe kyoñ kar ho 'kañval'
ḳhātir-e-husn pe har baat girāñ guzrī hai
kya kahun mujh pe jo ai dushman-e-jaan guzri hai
teri har baat tabiat pe giran guzri hai
kuchh na samjhega tu betabi-e-dil ka aalam
ye musibat ki ghaDi tujh pe kahan guzri hai
naunihaalan-e-chaman bhi KHas-o-KHashak hue
KHak uDati hui yun baad-e-KHizan guzri hai
zindagi naghma-e-be-saz-o-nawa thi pahle
aaj tak KHair se ai dard-e-nihan guzri hai
jada-e-shauq mein ye bhi mujhe malum nahin
din kahan bit gaya raat kahan guzri hai
zist wo kya hai jo mauhum si ummid liye
maut ki rah se benam-o-nishan guzri hai
dekhiye rang jamati hai bahaar ab kyon kar
luT kar husn-e-gulistan ko KHizan guzri hai
jurat-e-arz-e-tamanna mujhe kyon kar ho 'kanwal'
KHatir-e-husn pe har baat giran guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.