kya kam hai ye bhi wada-e-farda kiya to hai
kyā kam hai ye bhī vā'da-e-fardā kiyā to hai
aa.e na aa.e us ne mirā dil rakhā to hai
dil ḳhuun ho gayā hai magar rā.egāñ nahīñ
raushan mire lahū se charāġh-e-vafā to hai
be-nāḳhudā bhī paar utartī haiñ kashtiyāñ
vo jin kā nāḳhudā nahīñ un kā ḳhudā to hai
vo us kā muskurā ke mirā haal pūchhnā
ik hādisa sahī sar-e-rāhe huā to hai
ai rahravān-e-rāh-e-mohabbat chale chalo
manzil kā kyā mile na mile rāsta to hai
hālāt sāzgār nahīñ haiñ to kyā huā
tūfān nā-guzīr sahī hausla to hai
har daur se hai 'bazm' 'ibārat mirī ġhazal
dekhā nahīñ jo daur vo āḳhir paḌhā to hai
kya kam hai ye bhi wa'da-e-farda kiya to hai
aae na aae us ne mera dil rakha to hai
dil KHun ho gaya hai magar raegan nahin
raushan mere lahu se charagh-e-wafa to hai
be-naKHuda bhi par utarti hain kashtiyan
wo jin ka naKHuda nahin un ka KHuda to hai
wo us ka muskura ke mera haal puchhna
ek hadisa sahi sar-e-rahe hua to hai
ai rahrawan-e-rah-e-mohabbat chale chalo
manzil ka kya mile na mile rasta to hai
haalat sazgar nahin hain to kya hua
tufan na-guzir sahi hausla to hai
har daur se hai 'bazm' 'ibarat meri ghazal
dekha nahin jo daur wo aaKHir paDha to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.