kya karegi ye teri kakul-e-paiman mera
kya karegi ye teri kakul-e-paiman mera
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
kyā karegī ye tirī kākul-e-paimāñ merā
haal kuchh is se bhī afzūñ hai pareshāñ merā
paas aane bhī na deve kabhū parvāne ko
dekh le haal agar sham-e-farozāñ merā
jī meñ hai dekhiye mar kar bhī ki kyā hotā hai
jīte-jī tak to na niklā koī armāñ merā
shukr sad-shukr ki tum aa.e ho mere ghar meñ
aaj ābād huā ḳhāna-e-vīrāñ merā
ruḳh-e-jānāñ kā jo rahtā hai tasavvur 'ārif'
kaukab-e-baḳht hai ye dīda-e-hairāñ merā
kya karegi ye teri kakul-e-paiman mera
haal kuchh is se bhi afzun hai pareshan mera
pas aane bhi na dewe kabhu parwane ko
dekh le haal agar sham-e-farozan mera
ji mein hai dekhiye mar kar bhi ki kya hota hai
jite-ji tak to na nikla koi arman mera
shukr sad-shukr ki tum aae ho mere ghar mein
aaj aabaad hua KHana-e-viran mera
ruKH-e-jaanan ka jo rahta hai tasawwur 'arif'
kaukab-e-baKHt hai ye dida-e-hairan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.