kya karen tadbir-e-wahshat ai dil-e-diwana hum
kyā kareñ tadbīr-e-vahshat ai dil-e-dīvāna ham
us se mil bhī to nahīñ sakte haiñ āzādāna ham
ham raheñ duurī kash-e-mai ġhair mast-e-arġhavāñ
aaj Takrā deñge har paimāne se paimāna ham
DhūñDh legā aap manzil kārvān-e-zindagī
ġhair kā ehsān kyuuñ leñ himmat-e-mardāna ham
lab rahe ḳhāmosh lekin saarī bāteñ ho ga.iiñ
ik nazar meñ kah ga.e afsāna-dar-afsāna ham
jis tarah insāñ ko le Duube haiñ shaiḳh-o-barhaman
laao sāġhar meñ Dubo deñ masjid-o-but-ḳhāna ham
jis ko duniyā meñ kisī ne muñh lagāyā hī nahīñ
mahfil-e-rindāñ meñ haiñ TuuTā huā paimāna ham
kaash koī dekh hī letā nigāh-e-lutf se
aa.e the mahfil meñ 'jāmī' kitne mushtāqāna ham
kya karen tadbir-e-wahshat ai dil-e-diwana hum
us se mil bhi to nahin sakte hain aazadana hum
hum rahen duri kash-e-mai ghair mast-e-arghawan
aaj Takra denge har paimane se paimana hum
DhunDh lega aap manzil karwan-e-zindagi
ghair ka ehsan kyun len himmat-e-mardana hum
lab rahe KHamosh lekin sari baaten ho gain
ek nazar mein kah gae afsana-dar-afsana hum
jis tarah insan ko le Dube hain shaiKH-o-barhaman
lao saghar mein Dubo den masjid-o-but-KHana hum
jis ko duniya mein kisi ne munh lagaya hi nahin
mahfil-e-rindan mein hain TuTa hua paimana hum
kash koi dekh hi leta nigah-e-lutf se
aae the mahfil mein 'jami' kitne mushtaqana hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.