kya karun ai KHuda nahin jata
kyā karūñ ai ḳhudā nahīñ jaatā
dil se vo bevafā nahīñ jaatā
ek lamha sukūn bhī de de
dard har pal sahā nahīñ jaatā
mālika tujh se ek shikva hai
vaise mujh se kiyā nahīñ jaatā
mas.ala ye hai us ke gaañv ko
dūsrā rāsta nahīñ jaatā
aa bhī jaa.e havā kā jhoñkā gar
sab diye to bujhā nahīñ jaatā
ho sake to palaT ke aa jaao
ab akele rahā nahīñ jaatā
yaad rakhnā ye jo mohabbat hai
is safar meñ rukā nahīñ jaatā
kya karun ai KHuda nahin jata
dil se wo bewafa nahin jata
ek lamha sukun bhi de de
dard har pal saha nahin jata
malika tujh se ek shikwa hai
waise mujh se kiya nahin jata
masala ye hai us ke ganw ko
dusra rasta nahin jata
aa bhi jae hawa ka jhonka gar
sab diye to bujha nahin jata
ho sake to palaT ke aa jao
ab akele raha nahin jata
yaad rakhna ye jo mohabbat hai
is safar mein ruka nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.