kya karunga main bhala kanch ka ye ghar le kar
kya karunga main bhala kanch ka ye ghar le kar
Mumtaz Ahmad Mumtaz
MORE BYMumtaz Ahmad Mumtaz
kyā karūñgā maiñ bhalā kāñch kā ye ghar le kar
log aa jā.eñge phir haath meñ patthar le kar
zehn mā.ūf badan chuur hai dil āzurda
aao so jaa.eñ sirhāne koī patthar le kar
naam chhaptā thā jalī harfoñ meñ kal tak jis kā
aaj baiThā hai vo fōtpath pe bistar le kar
jab bhī hālāt ke sūraj kī tapish tez huī
oḌh lī maiñ ne tirī yaad kī chādar le kar
zīnat-e-shahr haiñ 'mumtāz' ye ūñche aivān
ham kahāñ jaa.eñ bhalā phuus kā chhappar le kar
kya karunga main bhala kanch ka ye ghar le kar
log aa jaenge phir hath mein patthar le kar
zehn mauf badan chur hai dil aazurda
aao so jaen sirhane koi patthar le kar
nam chhapta tha jali harfon mein kal tak jis ka
aaj baiTha hai wo footpath pe bistar le kar
jab bhi haalat ke suraj ki tapish tez hui
oDh li main ne teri yaad ki chadar le kar
zinat-e-shahr hain 'mumtaz' ye unche aiwan
hum kahan jaen bhala phus ka chhappar le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.