kya KHabar apne Thikane ki taraf lauT aae
kyā ḳhabar apne Thikāne kī taraf lauT aa.e
ḳhud-ba-ḳhud tiir nishāne kī taraf lauT aa.e
sañg lauT aa.e pahāḌoñ kī taraf āḳhir-kār
aa.ine ā.ina-ḳhāne kī taraf lauT aa.e
jab khulā un pe ki naqsha mire sandūq meñ hai
aur kuchh saañp ḳhazāne kī taraf lauT aa.e
raat badmast rahe sābit-o-sayyār ke saath
sub.h hote hī zamāne kī taraf lauT aa.e
gaarā tayyār hai aur chaak bhī maujūd hai ab
kūza-gar kuuza banāne kī taraf lauT aa.e
hijr ko jhelnā āsān kahāñ thā ai dil
ham mohabbat meñ bahāne kī taraf lauT aa.e
bhiik is shahr meñ milnā koī āsān nahīñ
ya.anī majbūr kamāne kī taraf lauT aa.e
aur phir dasht-e-tamannā meñ bhaTakte hue log
ārzū-mand Thikāne kī taraf lauT aa.e
apnā kirdār nibhāne kī tag-o-tāz meñ 'zeb'
ham kahānī se fasāne kī taraf lauT aa.e
kya KHabar apne Thikane ki taraf lauT aae
KHud-ba-KHud tir nishane ki taraf lauT aae
sang lauT aae pahaDon ki taraf aaKHir-kar
aaine aaina-KHane ki taraf lauT aae
jab khula un pe ki naqsha mere sanduq mein hai
aur kuchh sanp KHazane ki taraf lauT aae
raat badmast rahe sabit-o-sayyar ke sath
subh hote hi zamane ki taraf lauT aae
gara tayyar hai aur chaak bhi maujud hai ab
kuza-gar kuza banane ki taraf lauT aae
hijr ko jhelna aasan kahan tha ai dil
hum mohabbat mein bahane ki taraf lauT aae
bhik is shahr mein milna koi aasan nahin
yani majbur kamane ki taraf lauT aae
aur phir dasht-e-tamanna mein bhaTakte hue log
aarzu-mand Thikane ki taraf lauT aae
apna kirdar nibhane ki tag-o-taz mein 'zeb'
hum kahani se fasane ki taraf lauT aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.