kya KHabar thi rahzan hi rahbar ho jaega
kyā ḳhabar thī rāhzan hī rāhbar ho jā.egā
chārāgar hisse kā mere kam-nazar ho jā.egā
qāfila ġham kā sharīk-e-rahguzar ho jā.egā
dard dil kā dhīre dhīre be-asar ho jā.egā
guftugū se āshnā.ī hī nahīñ dekho jise
mahfiloñ meñ vo suḳhanvar par asar ho jā.egā
ḳhuub se the ḳhūb-tar kī raah meñ koshāñ magar
ham-safar kā saath yuuñ to muḳhtasar ho jā.egā
hū-ba-hū vaisī rahe jān-e-jahāñ har ek shai
tum chale jāoge 'ahsan' muntashir ho jā.egā
kya KHabar thi rahzan hi rahbar ho jaega
chaaragar hisse ka mere kam-nazar ho jaega
qafila gham ka sharik-e-rahguzar ho jaega
dard dil ka dhire dhire be-asar ho jaega
guftugu se aashnai hi nahin dekho jise
mahfilon mein wo suKHanwar par asar ho jaega
KHub se the KHub-tar ki rah mein koshan magar
ham-safar ka sath yun to muKHtasar ho jaega
hu-ba-hu waisi rahe jaan-e-jahan har ek shai
tum chale jaoge 'ahsan' muntashir ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.