Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya KHabar thi yar ke aate hi aafat aaegi

Jameela Khuda Bakhsh

kya KHabar thi yar ke aate hi aafat aaegi

Jameela Khuda Bakhsh

MORE BYJameela Khuda Bakhsh

    kyā ḳhabar thī yaar ke aate aafat aa.egī

    qāmat-e-zebā meñ poshīda qayāmat aa.egī

    pahlū-e-vīrāñ ko apne dekh kar kahtā huuñ maiñ

    dil na DhūñDhūñgā yahāñ un nadāmat aa.egī

    ġham nahīñ monis na ho koī tire bīmār

    vādī-e-ġhurbat meñ us ke saath himmat aa.egī

    is tasavvur meñ na dekhā ā.īna us yaar ne

    ban ke jān-e-mubtalā mir.at meñ hairat aa.egī

    mārte haiñ be-gunah vo roz ik nāshād ko

    rafta rafta ek din apnī bhī naubat aa.egī

    dushmanoñ ne ye samajh kar bazm se rokā mujhe

    dekh kar shāyad mujhe un ko muravvat aa.egī

    merī betābī hālat se unheñ aagah kiyā

    haif tujh meñ nāma-bar kab ādmiyyat aa.egī

    go ġharīb-e-be-vatan huuñ bā'd-e-murdan dekhnā

    āh-o-zārī ko mirī turbat pe hasrat aa.egī

    hai dam-e-murdan tasavvur ai but-e-zebā tirā

    maut aa.egī to ban kar terī sūrat aa.egī

    ai 'jamīla' is dil-e-vahshī hālat dekh kar

    qais ko farhād ko vāmiq ko 'ibrat aa.egī

    kya KHabar thi yar ke aate hi aafat aaegi

    qamat-e-zeba mein poshida qayamat aaegi

    pahlu-e-viran ko apne dekh kar kahta hun main

    dil na DhunDhunga yahan un ki nadamat aaegi

    gham nahin monis na ho koi tere bimar ka

    wadi-e-ghurbat mein us ke sath himmat aaegi

    is tasawwur mein na dekha aaina us yar ne

    ban ke jaan-e-mubtala mirat mein hairat aaegi

    marte hain be-gunah wo roz ek nashad ko

    rafta rafta ek din apni bhi naubat aaegi

    dushmanon ne ye samajh kar bazm se roka mujhe

    dekh kar shayad mujhe un ko murawwat aaegi

    meri betabi ki haalat se unhen aagah kiya

    haif tujh mein nama-bar kab aadmiyyat aaegi

    go gharib-e-be-watan hun ba'd-e-murdan dekhna

    aah-o-zari ko meri turbat pe hasrat aaegi

    hai dam-e-murdan tasawwur ai but-e-zeba tera

    maut aaegi to ban kar teri surat aaegi

    ai 'jamila' is dil-e-wahshi ki haalat dekh kar

    qais ko farhad ko wamiq ko 'ibrat aaegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now