kya KHabar thi ye din bhi dekhenge
kyā ḳhabar thī ye din bhī dekheñge
ḳhuun bo.eñge sabr kāTeñge
kis ko munsif kaheñ kise qātil
bach rahe kal talak to socheñge
maiñ agar yuuñ hī sar uThātā rahā
log apne hī but ko pūjeñge
aap apnā bhī jā.eza le leñ
ham to apnī sazā ko pahuñcheñge
qaum maz.hab zamīn rañg zabāñ
yūñhī kab tak lakīreñ khīñcheñge
kyā tumheñ bhī gumān thā 'anjum'
ham ḳhud apne badan ko nocheñge
kya KHabar thi ye din bhi dekhenge
KHun boenge sabr kaTenge
kis ko munsif kahen kise qatil
bach rahe kal talak to sochenge
main agar yun hi sar uThata raha
log apne hi but ko pujenge
aap apna bhi jaeza le len
hum to apni saza ko pahunchenge
qaum mazhab zamin rang zaban
yunhi kab tak lakiren khinchenge
kya tumhein bhi guman tha 'anjum'
hum KHud apne badan ko nochenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.