kya KHabar tujhko o daman ko chhuDane wale
kyā ḳhabar tujh ko o dāman ko chhuḌāne vaale
aur bhī haiñ mujhe siine se lagāne vaale
nāpte kaise mire zarf kī gahrā.ī ko
Dubkiyāñ ḳhitta-e-sāhil meñ lagāne vaale
ai havāo na kahīñ haath jalā lo tum bhī
bujh ga.e mere charāġhoñ ko bujhāne vaale
jism mar saktā hai āvāz nahīñ martī hai
yaad rakkheñ mirī āvāz dabāne vaale
ḳhud ko kaise kisī manzil ke havāle kartā
muntazir the mirī aamad ke zamāne vaale
baap kī qabr pe miTTī bhī nahīñ Dālte haiñ
phuul netāoñ kī qabroñ pe chaḌhāne vaale
kya KHabar tujh ko o daman ko chhuDane wale
aur bhi hain mujhe sine se lagane wale
napte kaise mere zarf ki gahrai ko
Dubkiyan KHitta-e-sahil mein lagane wale
ai hawao na kahin hath jala lo tum bhi
bujh gae mere charaghon ko bujhane wale
jism mar sakta hai aawaz nahin marti hai
yaad rakkhen meri aawaz dabane wale
KHud ko kaise kisi manzil ke hawale karta
muntazir the meri aamad ke zamane wale
bap ki qabr pe miTTi bhi nahin Dalte hain
phul netaon ki qabron pe chaDhane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.