kya KHaridoge chaar aane mein
kyā ḳharīdoge chaar aane meñ
aqlmandī hai ghar na jaane meñ
tabsira kar rahe haiñ duniyā par
chand bachche sharāb-ḳhāne meñ
pursish-e-hāl kar rahe haiñ log
kyā bigaḌtā hai muskurāne meñ
ai musavvir ye surḳh-rū chehra
aisī tasvīr is zamāne meñ
ghar meñ andher kar gayā koī
der kar dī charāġh laane meñ
chhup ke baiThī huī hai maut kahīñ
zindagī tere shāmiyāne meñ
be-libāsī nasīb hai us kā
ḳhvāb buntā hai kār-ḳhāne meñ
kya KHaridoge chaar aane mein
aqlmandi hai ghar na jaane mein
tabsira kar rahe hain duniya par
chand bachche sharab-KHane mein
pursish-e-haal kar rahe hain log
kya bigaDta hai muskurane mein
ai musawwir ye surKH-ru chehra
aisi taswir is zamane mein
ghar mein andher kar gaya koi
der kar di charagh lane mein
chhup ke baiThi hui hai maut kahin
zindagi tere shamiyane mein
be-libasi nasib hai us ka
KHwab bunta hai kar-KHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.