kya KHata hui humse kuchh pata nahin milta
kyā ḳhatā huī ham se kuchh patā nahīñ miltā
ham duā to karte haiñ mudda.ā nahīñ miltā
us se lau lagāo to apnā sar jhukāo to
phir zarā batāo to tum ko kyā nahīñ miltā
chal paḌeñ to manzil ḳhud paas aane lagtī hai
jab qadam nahīñ uThte rāsta nahīñ miltā
ungliyāñ uThāte haiñ jo mirī vafāoñ par
kyā unheñ haqīqat kā aa.ina nahīñ miltā
yuuñ to haiñ hasīñ lākhoñ aaj bhī zamāne meñ
lekin aap ke jaisā dūsrā nahīñ miltā
kaun dekhtā hai ab ḳhud meñ husn-e-jānānāñ
apnā aks ab koī chūmtā nahīñ miltā
bhaa.ī ko judā kar deñ apne bhā.iyoñ se ye
dil ko joḌne vaalā rahnumā nahīñ miltā
un kī barhamī kā hai ḳhauf dil meñ ai fārūq
ab hasīñ gunāhoñ meñ bhī mazā nahīñ miltā
kya KHata hui hum se kuchh pata nahin milta
hum dua to karte hain muddaa nahin milta
us se lau lagao to apna sar jhukao to
phir zara batao to tum ko kya nahin milta
chal paDen to manzil KHud pas aane lagti hai
jab qadam nahin uThte rasta nahin milta
ungliyan uThate hain jo meri wafaon par
kya unhen haqiqat ka aaina nahin milta
yun to hain hasin lakhon aaj bhi zamane mein
lekin aap ke jaisa dusra nahin milta
kaun dekhta hai ab KHud mein husn-e-jaananan
apna aks ab koi chumta nahin milta
bhai ko juda kar den apne bhaiyon se ye
dil ko joDne wala rahnuma nahin milta
un ki barhami ka hai KHauf dil mein ai faruq
ab hasin gunahon mein bhi maza nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.