kya khinche hai KHud ko dur allah
kyā khīñche hai ḳhud ko duur allāh
allāh-re tirā ġhurūr allāh
husn aisā kahāñ hai mahr-o-mah meñ
kuchh aur hī hai ye nuur allāh
ham ne to ba-chashm-e-ḳhvesh dekhā
har shai meñ tirā zuhūr allāh
ham haiñ tire bande mere sāhib
go shaiḳh ko deve huur allāh
pahlū se mire nikal gayā but
kyā mujh se huā qusūr allāh
jis dam meñ karūñ huuñ naala dil se
uThtā hai kitnā shor allāh
ai 'mus.hafī' haq nahīñ samajhtā
kitnā huuñ maiñ be-shu.ūr allāh
kya khinche hai KHud ko dur allah
allah-re tera ghurur allah
husn aisa kahan hai mahr-o-mah mein
kuchh aur hi hai ye nur allah
hum ne to ba-chashm-e-KHwesh dekha
har shai mein tera zuhur allah
hum hain tere bande mere sahib
go shaiKH ko dewe hur allah
pahlu se mere nikal gaya but
kya mujh se hua qusur allah
jis dam mein karun hun nala dil se
uThta hai kitna shor allah
ai 'mushafi' haq nahin samajhta
kitna hun main be-shuur allah
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 314)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.