kya khojte hain mujh mein sar-e-sham hi charagh
kyā khojte haiñ mujh meñ sar-e-shām hī charāġh
kyoñ dekhte haiñ bāñdhe mujhe TikTikī charāġh
jaise kisī ko raushnī matlūb hī nahīñ
be-fikr ho ke so.e paḌe haiñ sabhī charāġh
qat.an jo ek pal bhī jale hī na the kabhī
ilzām dhar rahe haiñ havā par vahī charāġh
donoñ bane haiñ miTTī se phir aisā kyoñ nahīñ
ya.anī charāġh aadmī aur aadmī charāġh
maujūd huuñ maiñ phir bhī zarūrat nahīñ mirī
goyā ki ban ga.ī hai mirī zindagī charāġh
is ḳhaufnāk āñdhī kā jab tak pata chalā
tab tak hamāre hāthoñ se vo le uḌī charāġh
yuuñ Dar rahe ho is ko jalāne se tum 'alī'
jaise ki ye ho duniyā kā ik āḳhirī charāġh
kya khojte hain mujh mein sar-e-sham hi charagh
kyon dekhte hain bandhe mujhe TikTiki charagh
jaise kisi ko raushni matlub hi nahin
be-fikr ho ke soe paDe hain sabhi charagh
qatan jo ek pal bhi jale hi na the kabhi
ilzam dhar rahe hain hawa par wahi charagh
donon bane hain miTTi se phir aisa kyon nahin
yani charagh aadmi aur aadmi charagh
maujud hun main phir bhi zarurat nahin meri
goya ki ban gai hai meri zindagi charagh
is KHaufnak aandhi ka jab tak pata chala
tab tak hamare hathon se wo le uDi charagh
yun Dar rahe ho is ko jalane se tum 'ali'
jaise ki ye ho duniya ka ek aaKHiri charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.