kya KHushi hoti hai jis dam ghar mere wo aae hai
kya KHushi hoti hai jis dam ghar mere wo aae hai
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
kyā ḳhushī hotī hai jis dam ghar mire vo aa.e hai
baḌhte baḌhte āsmāñ se sar mirā lag jaa.e hai
chāra-gar le le ke marham kis liye tū aa.e hai
jab talak phirte haiñ us meñ zaḳhm-e-dil bhar jaa.e hai
ek do nāloñ hī meñ tū ai falak ghabrā gayā
us ke dil ko dekh jo rahtā mire ham-sā.e hai
ek dham-dham kī sadā aatī hai kānoñ meñ baḌī
aaj phir dīvāna terā sar kahīñ Takrā.e hai
ai ḳhizar maiḳhāne meñ 'ārif' kā kab tak intizār
yaañ chale aate haiñ jab dil un kā Tuk lahrā.e hai
kya KHushi hoti hai jis dam ghar mere wo aae hai
baDhte baDhte aasman se sar mera lag jae hai
chaara-gar le le ke marham kis liye tu aae hai
jab talak phirte hain us mein zaKHm-e-dil bhar jae hai
ek do nalon hi mein tu ai falak ghabra gaya
us ke dil ko dekh jo rahta mere ham-sae hai
ek dham-dham ki sada aati hai kanon mein baDi
aaj phir diwana tera sar kahin Takrae hai
ai KHizar maiKHane mein 'arif' ka kab tak intizar
yan chale aate hain jab dil un ka Tuk lahrae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.