kya KHub hai jannat ka tamasha mere aage
kyā ḳhuub hai jannat kā tamāshā mire aage
biivī ko burā kahtā hai saalā mire aage
chaTḳhāre liyā kartā huuñ aksar maiñ ġhamoñ meñ
duniyā hai ye chīnī kā batāshā mire aage
hoñToñ pe lipstick jo lagī thī na chhuTTī vo
kamre meñ thā ik dhuñdlā sā shīsha mire aage
maiñ gandī sī galiyoñ meñ unheñ DhūñD hī lūñgā
guide jo chale saath meñ sīdhā mire aage
nāTak meñ zarā male se female banā thā
choTī mere pīchhe thī to lahñgā mire aage
pāpaḌ to sabhī chhoTe baḌe bel chukā huuñ
kaunain kā bas rah gayā dhandā mire aage
sab raqs mirī āñkhoñ ko lagne lage phīke
hijḌoñ ne lagāyā thā jo Thumkā mire aage
sāñDoñ kī laḌā.ī meñ pareshān sabhī the
kuttā mire pīchhe thā to bhaiñsā mire aage
kal arthī ke nīche se paḌā mujh ko guzarnā
khaDDā mire pīchhe thā to khambā mire aage
maiñ jab se banā qaum kī taqdīr kā rahbar
rahtā hai police vāloñ kā dasta mire aage
ġhurbat hai na aahoñ meñ dhuāñ hai na sadā hai
biiḌī hai na cigarette hai na huqqa mire aage
āñkheñ mirī ban jaatī haiñ raqqāsa-e-ālam
aa jaatā hai jab bhī tirā kūlhā mire aage
ghus jaatā huuñ panDit ke kabhī mullā ke ghar meñ
aatā hai nazar jab koī dangā mire aage
ustādī ke is darje meñ maiñ aaj huuñ faa.ez
shaitān bhī ban jaatā hai baunā mire aage
chhanvā.ī miyāñ majnūñ ko jangal kī bahut ḳhaak
har 'rāz' ugal detī thī lailā mire aage
kya KHub hai jannat ka tamasha mere aage
biwi ko bura kahta hai sala mere aage
chaTKHare liya karta hun aksar main ghamon mein
duniya hai ye chini ka batasha mere aage
honTon pe lipstick jo lagi thi na chhuTTi wo
kamre mein tha ek dhundla sa shisha mere aage
main gandi si galiyon mein unhen DhunD hi lunga
guide jo chale sath mein sidha mere aage
naTak mein zara male se female bana tha
choTi mere pichhe thi to lahnga mere aage
papaD to sabhi chhoTe baDe bel chuka hun
kaunain ka bas rah gaya dhanda mere aage
sab raqs meri aankhon ko lagne lage phike
hijDon ne lagaya tha jo Thumka mere aage
sanDon ki laDai mein pareshan sabhi the
kutta mere pichhe tha to bhainsa mere aage
kal arthi ke niche se paDa mujh ko guzarna
khaDDa mere pichhe tha to khamba mere aage
main jab se bana qaum ki taqdir ka rahbar
rahta hai police walon ka dasta mere aage
ghurbat hai na aahon mein dhuan hai na sada hai
biDi hai na cigarette hai na huqqa mere aage
aankhen meri ban jati hain raqqasa-e-alam
aa jata hai jab bhi tera kulha mere aage
ghus jata hun panDit ke kabhi mulla ke ghar mein
aata hai nazar jab koi danga mere aage
ustadi ke is darje mein main aaj hun faez
shaitan bhi ban jata hai bauna mere aage
chhanwai miyan majnun ko jangal ki bahut KHak
har 'raaz' ugal deti thi laila mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.