kya KHub ye ana hai ki kashkol toD kar
kyā ḳhuub ye anā hai ki kashkol toḌ kar
ab tak khaḌe hue haiñ vahīñ haath joḌ kar
mar hī na jaa.e zabt-e-fuġhāñ se kahīñ ye shahr
siine se is ke aah nikālo jhiñjhoḌ kar
sunnat hai koī hijrat-e-sānī bhalā batāo
jaatā hai koī apne madīne ko chhoḌ kar
is ke alāva koī hamārā nahīñ yahāñ
jaao koī ḳhudā ko bulā laao dauḌ kar
'āsim' ye dukh to jhelne paḌte haiñ ishq meñ
chādar na ho to sote nahīñ ḳhaak oḌh kar
kya KHub ye ana hai ki kashkol toD kar
ab tak khaDe hue hain wahin hath joD kar
mar hi na jae zabt-e-fughan se kahin ye shahr
sine se is ke aah nikalo jhinjhoD kar
sunnat hai koi hijrat-e-sani bhala batao
jata hai koi apne madine ko chhoD kar
is ke alawa koi hamara nahin yahan
jao koi KHuda ko bula lao dauD kar
'asim' ye dukh to jhelne paDte hain ishq mein
chadar na ho to sote nahin KHak oDh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.