kya kisi bij ka ye KHun baha tha logo
kyā kisī biij kā ye ḳhuun bahā thā logo
peḌ jañgal se bahut duur ugā thā logo
laakh mushkil ho mirā haath sambhāle rakhnā
dar se dīvār ne kal raat kahā thā logo
din kī āġhosh meñ sūraj kā sulagtā huā tan
shaam hote hī samundar meñ girā thā logo
dekh kar mujh ko akelā mirī dil-jūī ko
saaya dīvār se kuchh duur haTā thā logo
kaasa darvesh kā aahoñ se bharā dekhā hai
aaj lañgar pe bhī kyā dard baTā thā logo
kya kisi bij ka ye KHun baha tha logo
peD jangal se bahut dur uga tha logo
lakh mushkil ho mera hath sambhaale rakhna
dar se diwar ne kal raat kaha tha logo
din ki aaghosh mein suraj ka sulagta hua tan
sham hote hi samundar mein gira tha logo
dekh kar mujh ko akela meri dil-jui ko
saya diwar se kuchh dur haTa tha logo
kasa darwesh ka aahon se bhara dekha hai
aaj langar pe bhi kya dard baTa tha logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.