kya kisi rabte mein rakkha hai
kyā kisī rābte meñ rakkhā hai
ham ne dil rāste meñ rakkhā hai
ab ḳhudāoñ kī kyā zarūrat hai
aa.ina but-kade meñ rakkhā hai
nā tumhārī ḳhatā hai nā merī
mas.ala mas.ale meñ rakkhā hai
raat rakkhī hai us ne din ke baad
aap ko fā.ede meñ rakkhā hai
us ko andāz hai tasalsul kā
zulf ko silsile meñ rakkhā hai
kyā rakhā hai purānī chīzoñ meñ
jo nayā hai na.e meñ rakkhā hai
agle vaqtoñ pe soch kar 'āmir'
vaqt ko qā.ede meñ rakkhā hai
kya kisi rabte mein rakkha hai
hum ne dil raste mein rakkha hai
ab KHudaon ki kya zarurat hai
aaina but-kade mein rakkha hai
na tumhaari KHata hai na meri
masala masale mein rakkha hai
raat rakkhi hai us ne din ke baad
aap ko faede mein rakkha hai
us ko andaz hai tasalsul ka
zulf ko silsile mein rakkha hai
kya rakha hai purani chizon mein
jo naya hai nae mein rakkha hai
agle waqton pe soch kar 'amir'
waqt ko qaede mein rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.