kya koi de sake pata mera
kyā koī de sake pata merā
bhed mujh par bhī kab khulā merā
aañkh kī lau meñ hai zamīr kī lau
mujh meñ zinda hai rahnumā merā
ḳhaak ho kar ravish ravish likkhūñ
jaane kis samt ho ḳhudā merā
gā rahā huuñ maiñ vaqt kī lai par
lamha lamha hai āshnā merā
reza reza hue haiñ ḳhvāb mire
phir bhī qaa.em hai hausla merā
kya koi de sake pata mera
bhed mujh par bhi kab khula mera
aankh ki lau mein hai zamir ki lau
mujh mein zinda hai rahnuma mera
KHak ho kar rawish rawish likkhun
jaane kis samt ho KHuda mera
ga raha hun main waqt ki lai par
lamha lamha hai aashna mera
reza reza hue hain KHwab mere
phir bhi qaem hai hausla mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.