kya koi mere gham main raat bhar taDapta hai
kyā koī mire ġham maiñ raat bhar taḌaptā hai
kyoñ mirā dil-e-mahzūñ shaam se dhaḌaktā hai
āshiqī kī bastī meñ shā.irī kī duniyā meñ
dard jitnā baḌhtā hai aadmī nikhartā hai
chāñd so gayā shāyad raat Dhalne vaalī hai
kis umiid meñ ai dil phir bhī tū machaltā hai
kaj-kulāh mah-pāro merī bhī zarā sun lo
āftāb ko dekho ek vaqt Dhaltā hai
kab bujhā sakoge tum tīrgī ke matavālo
ik charāġh jo mere ḳhūn-e-dil se jaltā hai
aaj phir chalī shāyad shām-e-ġham kī purvā.ī
chāñdnī meñ kyoñ āḳhir zaḳhm-e-dil mahaktā hai
ibtidā-e-ulfat hai aur kisī kī furqat kī
dhīmī dhīmī āñchoñ par aaj kaun jaltā hai
vo jo ek pāgal hai kahte haiñ jise pāshā
gul-ruḳhoñ kī sohbat meñ aur bhī sanaktā hai
kya koi mere gham main raat bhar taDapta hai
kyon mera dil-e-mahzun sham se dhaDakta hai
aashiqi ki basti mein shairi ki duniya mein
dard jitna baDhta hai aadmi nikharta hai
chand so gaya shayad raat Dhalne wali hai
kis umid mein ai dil phir bhi tu machalta hai
kaj-kulah mah-paro meri bhi zara sun lo
aaftab ko dekho ek waqt Dhalta hai
kab bujha sakoge tum tirgi ke matawalo
ek charagh jo mere KHun-e-dil se jalta hai
aaj phir chali shayad sham-e-gham ki purwai
chandni mein kyon aaKHir zaKHm-e-dil mahakta hai
ibtida-e-ulfat hai aur kisi ki furqat ki
dhimi dhimi aanchon par aaj kaun jalta hai
wo jo ek pagal hai kahte hain jise pasha
gul-ruKHon ki sohbat mein aur bhi sanakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.