kya koi samjhe mere haalat jab kahta hun main
kyā koī samjhe mire hālāt jab kahtā huuñ maiñ
ik musalsal raushnī ke saa.e meñ rahtā huuñ maiñ
jab havā chaltī hai uḌtā huuñ muḳhālif samt meñ
aur jab tham jaa.e tab apnī taraf bahtā huuñ maiñ
tere mere lahje kā ye farq kitnā saaf hai
tū mujhe kahtī hai tū aur maiñ tujhe kahtā huuñ maiñ
aap se maiñ ḳhush huuñ to ye aap par ehsān hai
ik aziyyat hai ḳhushī bhī hañs ke jo sahtā huuñ maiñ
shaam ke Dhalne se pahle maiñ kabhī piitā nahīñ
ye bhī sach hai dopahar se tishna-lab rahtā huuñ maiñ
kūza-gar ye sochtā hai ye usī kā kaam hai
is salīqe se kabhī bantā kabhī Dhahtā huuñ maiñ
kya koi samjhe mere haalat jab kahta hun main
ek musalsal raushni ke sae mein rahta hun main
jab hawa chalti hai uDta hun muKHalif samt mein
aur jab tham jae tab apni taraf bahta hun main
tere mere lahje ka ye farq kitna saf hai
tu mujhe kahti hai tu aur main tujhe kahta hun main
aap se main KHush hun to ye aap par ehsan hai
ek aziyyat hai KHushi bhi hans ke jo sahta hun main
sham ke Dhalne se pahle main kabhi pita nahin
ye bhi sach hai dopahar se tishna-lab rahta hun main
kuza-gar ye sochta hai ye usi ka kaam hai
is saliqe se kabhi banta kabhi Dhahta hun main
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.