kya kya ajal ne jaan churai tamam shab
kyā kyā ajal ne jaan churā.ī tamām shab
koī bhī aarzū na bar aa.ī tamām shab
dil-soz kab hue haiñ ki jab ḳhaak ho gayā
turbat pe merī sham.a jalā.ī tamām shab
ai vā-e-talḳh-kāmī-e-roz-e-bad-firāq
nāseh ne jān-e-ġham-zada khaa.ī tamām shab
az-bas yaqīn-e-vāda-e-dīdār-e-ḳhvāb thā
kyā ḳhush hue ki niiñd na aa.ī tamām shab
ik āh-e-dil-nashīñ se vo but munfa.il huā
vallāh kyā nadāmat uThā.ī tamām shab
lagte hī aañkh dekh liyā jalva-e-nihāñ
pesh-e-nazar thī shān-e-ḳhudā.ī tamām shab
kya kya ajal ne jaan churai tamam shab
koi bhi aarzu na bar aai tamam shab
dil-soz kab hue hain ki jab KHak ho gaya
turbat pe meri shama jalai tamam shab
ai wa-e-talKH-kaami-e-roz-e-bad-firaq
naseh ne jaan-e-gham-zada khai tamam shab
az-bas yaqin-e-wada-e-didar-e-KHwab tha
kya KHush hue ki nind na aai tamam shab
ek aah-e-dil-nashin se wo but munfail hua
wallah kya nadamat uThai tamam shab
lagte hi aankh dekh liya jalwa-e-nihan
pesh-e-nazar thi shan-e-KHudai tamam shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.