kya kya badal gae hain andaz aadmi ke
kyā kyā badal ga.e haiñ andāz aadmī ke
paisa hī ab ḳhudā hai parde meñ bandagī ke
office meñ laTe aanā pahchān afsaroñ kī
aur qisse chheḌte haiñ daftar meñ dil-lagī ke
rishvat ko haq samajh kar bharte haiñ jeb apnī
har tarah kar rahe haiñ sāmān behtarī ke
haiñ be-zamīr phir bhī da.avā hai leaderī kā
ab vote māñgte haiñ tālib haiñ membarī ke
bas naam rah gayā hai insāf ab kahāñ hai
haq apnā kis se māñgeñ mazlūm is sadī ke
afsāne nekiyoñ ke be-jān ho rahe haiñ
mansūbe ban rahe haiñ ab chaar sū badī ke
kyā inqalāb aayā badlī havā kuchh aisī
beTe bane minister imrān mistirī ke
vaa.iz bhī āj-kal ke mai-ḳhvār ho ga.e haiñ
dete haiñ va.az ham ko aksar sharāb pī ke
qismat se vo hamāre hukkām ban ga.e haiñ
hote the roz charche jin kī sitamgarī ke
bantī thī pahle sabzī ghī kā baghār de kar
sabzī se ban rahe haiñ ab Dabbe roz ghī ke
vo kaun hai jo baḌh kar āvāz-e-haq uThā.e
sab sūrmā bane haiñ unvān-e-buzdilī ke
kya kya badal gae hain andaz aadmi ke
paisa hi ab KHuda hai parde mein bandagi ke
office mein laTe aana pahchan afsaron ki
aur qisse chheDte hain daftar mein dil-lagi ke
rishwat ko haq samajh kar bharte hain jeb apni
har tarah kar rahe hain saman behtari ke
hain be-zamir phir bhi dawa hai leaderi ka
ab wote mangte hain talib hain membari ke
bas nam rah gaya hai insaf ab kahan hai
haq apna kis se mangen mazlum is sadi ke
afsane nekiyon ke be-jaan ho rahe hain
mansube ban rahe hain ab chaar su badi ke
kya inqalab aaya badli hawa kuchh aisi
beTe bane minister imran mistiri ke
waiz bhi aaj-kal ke mai-KHwar ho gae hain
dete hain waz hum ko aksar sharab pi ke
qismat se wo hamare hukkaam ban gae hain
hote the roz charche jin ki sitamgari ke
banti thi pahle sabzi ghi ka baghaar de kar
sabzi se ban rahe hain ab Dabbe roz ghi ke
wo kaun hai jo baDh kar aawaz-e-haq uThae
sab surma bane hain unwan-e-buzdili ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.