kya kya chehre chiKH rahe hain yaadon ke ambar tale
kyā kyā chehre chīḳh rahe haiñ yādoñ ke ambār tale
dil par aisā bojh dharā hai jo haTne kā naam na le
apnī TuuTī chhat par shāyad ik din sūraj chamkā thā
muTThī meñ kuchh dhuup churā.e baiThā huuñ dīvār tale
patjhaḌ ke āvāra jhoñke un par Derā Daale haiñ
jin shāḳhoñ par bichhḌe panchhī aa milte the shaam Dhale
qismat ham ko pheñk ga.ī hai tez havā kī rāhoñ meñ
dil bhī kyā hai ek diyā hai dekheñ kitnī der jale
muñh dekhī bātoñ meñ yaaro kyā rakkhā hai rahne do
haal hamārā tum mat pūchho jaao ham bīmār bhale
duniyā kā dastūr yahī hai nā-qadrī kī baat nahīñ
jo bhī lamhoñ ko Thukrā.e sadiyoñ apne haath male
apnī apnī sab kī rāheñ apnā apnā sab kā safar
tum bhī kisī ke saath chale ho ham bhī kisī ke saath chale
jaane rasta band hai 'qaisar' yā koī pachhtāvā hai
is nagrī se jo bhī jaa.e phir aane kā naam na le
kya kya chehre chiKH rahe hain yaadon ke ambar tale
dil par aisa bojh dhara hai jo haTne ka nam na le
apni TuTi chhat par shayad ek din suraj chamka tha
muTThi mein kuchh dhup churae baiTha hun diwar tale
patjhaD ke aawara jhonke un par Dera Dale hain
jin shaKHon par bichhDe panchhi aa milte the sham Dhale
qismat hum ko phenk gai hai tez hawa ki rahon mein
dil bhi kya hai ek diya hai dekhen kitni der jale
munh dekhi baaton mein yaro kya rakkha hai rahne do
haal hamara tum mat puchho jao hum bimar bhale
duniya ka dastur yahi hai na-qadri ki baat nahin
jo bhi lamhon ko Thukrae sadiyon apne hath male
apni apni sab ki rahen apna apna sab ka safar
tum bhi kisi ke sath chale ho hum bhi kisi ke sath chale
jaane rasta band hai 'qaisar' ya koi pachhtawa hai
is nagri se jo bhi jae phir aane ka nam na le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.