kya kya diye hain zist ne gham kuchh na puchhiye
kyā kyā diye haiñ ziist ne ġham kuchh na pūchhiye
kitne kiye ga.e haiñ karam kuchh na pūchhiye
āñkhoñ meñ ashk lab pe tabassum jigar meñ soz
kaise rakhā hai ġham kā bharam kuchh na pūchhiye
ik paikar-e-hasīñ kī parastish ke vāste
kyā kyā tarāshe ham ne sanam kuchh na pūchhiye
is daur-e-ibtilā meñ ba-īñ-aql-o-āgahī
bechārgī-e-ahl-e-qalam kuchh na pūchhiye
pahuñchā kahāñ kahāñ maiñ ḳhudā kī talāsh meñ
ai nāzirīn-e-dair-o-haram kuchh na pūchhiye
in donoñ manziloñ se zarā sochtā huuñ maiñ
mujh se mirā vajūd-o-adam kuchh na pūchhiye
is muḳhtasar sī ziist meñ 'bāsit-azīm' ne
kyā kyā uThā.e bār-e-alam kuchh na pūchhiye
kya kya diye hain zist ne gham kuchh na puchhiye
kitne kiye gae hain karam kuchh na puchhiye
aankhon mein ashk lab pe tabassum jigar mein soz
kaise rakha hai gham ka bharam kuchh na puchhiye
ek paikar-e-hasin ki parastish ke waste
kya kya tarashe hum ne sanam kuchh na puchhiye
is daur-e-ibtila mein ba-in-aql-o-agahi
bechaargi-e-ahl-e-qalam kuchh na puchhiye
pahuncha kahan kahan main KHuda ki talash mein
ai nazirin-e-dair-o-haram kuchh na puchhiye
in donon manzilon se zara sochta hun main
mujh se mera wajud-o-adam kuchh na puchhiye
is muKHtasar si zist mein 'basit-azim' ne
kya kya uThae bar-e-alam kuchh na puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.